Engineer Kya Hota Hai Engineer Kaise Bane
Sayad hi asa koi students hoga jise engineer ke bare me nahi pta hoga. 10th class ke baad me hum engineering area me ja sakte hai.iske liye alag alag department bhi hai. Jisme hum engineering ki padhai ko pura kar sakte hai. Lekin engineering ki padhai puri karte hi hum engineer nahi ban sakte hai. to ek engineer kya hota hai. Is post me ham aapko yahi batayege. To yadi aapne bhi 10th class pass kar li hai. Or aapka bhi sapna ek engineer banne ka hai. To yah post aapke liye padhna bahut jruri hai. To aap is post ko achhi tarah se padhe.
Engineer Kya Hota Hai ? Agar aap yah janna chahte hai. Ki Engineer kya hota hai. To hum aapko bata dete hai. Ki Engineer kya hai. Engineer ek ase aadmi ko kaha jata hai. Jo aami kisi vastu ka aavishkar kare uska design banaye ya machine test kare Alag alag experiments karke kuch naya banaye us aadmi ko engineer kaha jata hai. Kisi bhi student ko engineer banne ke liy engineering ki padhai karni padhti hai. jiske liye usse kam se kam 3 saal ka Diploma or degree karni padti hai.
Engineer Kitne Prakar Ke Hote Hain
Engineering ki bahut sari padhai hoti hain jo ki alag alag product ke liye ya Kisi Khaas Technology ke liye Banai gai hai jaise ki Electrical Engineering, Computer Science, Mechanical Engineering, Software Engineeringaadi. Jo bhi student jis bhi product ya Jis Kisi field me interest Rakhta Ho. Jaise ki koi computer me interest Rakhta hai. T vah computer science se engineering Karke apna Bhavishy computer field me Bana sakta hai. Iske Alawa Jaise koi electrical field ma interest Rakhta hai.To vah electrical engineering ke Shetr Me Apna Bhavishya Bana sakta hai Iske Alawa engineering ki kuch aur bhi degree or diploma Hota Hai Jinke baare me Hum Aap Ko niche Bata rahe hai.
Types Of Mechanical Engineering Degrees
Sabse Pehle hum aapko mechanical engineering ki kuch degree ke baare me Bata rahe hain. Jinko Karke Apna Bhavishya bana sakte hai. To ve kon kon si degree hai. To dehiye.
1. Biomedical Engineering Degree.
2. Biomechanical Engineering Degree.
3. Automotive Engineering degree.
4. Mechanical Engineering Degree.
5. Aerospace Engineering degree.
Types Of Civil Engineering Degrees
1.Civil engineering degree.
2.Structural Engineering Degree.
3.Architectural Engineering Degree.
Types of Electrical Engineering Degrees
1.Robotics Engineering Degree.
2.Microelectronic Engineering Degree.
3. Mechatronics Engineering Degree.
4.Electrical engineering degree.
5.Electronics engineering degree.
6.Computer engineering degree.
Types of Chemical Engineering Degrees
1.Engineering degree.
2.Sustainability Design Degree.
3.Environmental engineering degree.
4.Chemical Engineering degree.
5.Agricultural engineering degree.
6.Paper engineering degree.
Types Of Engineering Management Degrees
1.Systems Engineering Degree.
2.Industrial engineering degree.
3.Manufacturing Engineering degree.
4.MBA In Engineering Degree.
5.Engineering Management degree.
Types of Geo-technical Engineering Degrees
1.Geological engineering degree.
2.Engineering Physics.
3.Marine engineering degree.
4.Mining Engineering Degree.
5.Ceramics Engineering Degree.
6.Photonics Engineering Degree.
7.Geomatics Engineering Degree.
8.Nuclear Engineering Degree.
9.Nanotechnology Engineering.
10.Metallurgical Engineering Degree.
11.Petroleum Engineering degree.
12.Project Management Degree.
Uper di gayi Engineering ki sabhi category me se apne interest ke hisab se kisi bhi ek category se engineering kar sakte hai. Engineering ki field me apna future bana sakte hai In sabhi Branches me se sabse jyada Electrical mechanical computer ki field me engineering ki jati hai. Or in category se engineering karne ke baad achhi job milne ke chance bahut jyada hai. Jaise to dusri category bhi apni jagah bahut impotent hai. Agar aapki ruchi un category me hai. To aap use category se Engineering kare. Jisme aapkki ruchi jyada hai.
Engineer Kaise Bane
Jaisa ki hum sab jante hai. Kuch bhi banne ke liye use hame usse Related padhai karni hoti hai. Ya use ka Practice kar raha hota hai. Lekin engineer banne ke liye hame pahle padhai karni hoti hai. Phir usi se related Practice karni padti hai. Or us field me kaam karna padta hai. Tb jakar ham Engineer ban sakte hai. Niche aapko iske bare me puri jankari steps by steps di gayi hai.
Apne Interest Ko Dekhe
Kisi bhi field me engineer banne ke liye ya engineering karne ke liye aapko sabse pahe yah pata lagana hoga. Ki aap kis field me Ruchi rakhte hai. Jaise ki agar apko computer me jyada ruchi hai. or computer ke bare me or jyada janna chahte hai. To aapko computer category se engineering karni padegi. To isi tarah sabse aapko dekhna hai. Ki aap Kis field me jana chahte hai.
Engineering Category Se Diploma or Degree
To jaise hi aapko apni ruchi ke bare me pta ho vaise hi aap Diploma ya Degree us field se kar sakte hai. Aap diploma 10th cliass ke baad me kar sakte hai. Or degree diploma or 12th class ke baad me kar sakte hai. Lekin 12th cass ke baad me degree karne ke liye 12th class me Medical or Non Medical leni hogi.
10th class ke baad aap ITI karke Polytechnic ka diploma kar sakte hai. Or diploma ke baad aap B.Tech karke engineering ki degree bhi parapt kar sakte haii. Lekin in sabhi me aapko ek baat ka dhyaan rakhna hai. Ki agar aap diploma computer category se karege to aapko degree bhi computer category se karni hogi.
Apne Kaam Ke Liye Company Khoje
Diploma ya degree karne ke baad me aapko apne engineering diplamo se related company khojni hogi Or us me aapko apna interwove dekar us company me job leni hogi. Jisse aap apne engineering diploma ya degree ke hisab se kaam kar sakege or us field me aap ek engineer ke roop me kar sakege.
Engineering Me Apna Career Kaise Banaye
Engineering line me career banane me bahut sare option hote hai. Kyonki engineering line me bahut sari category hoti hai. Jitni category hogi. Usi ke hisab se job ke bhi option bahut jyada honge. Uper aapko hamne engineering ke category ki list bhi di hai. To usi hissab se aap jis bhi category se engineering karege. Aap usi field me job lag jayege. Jaise ki agar aap Electrical category se apni engineering karege. to aapko Electrical field me bahut job ke option me se ki bhi ek job chun sakte hai. Or isi tarah computer ki Field me bhi bahut sari job hoti hai.
Engineering Ki Salari
Engineering ki Salari uski job ke uper depend karti hai. Ki vah kis field ki job kar raha hai. Jise ko agar koi software Engineering ki job kar raha hai. To uski salana income lagbhag 7 lakh ke karib hogi. Isi tarah agar koi Mechanical field me job kar raha hai. To uski salana income 3 se 4 lakh ke karib hogi. To sabhi engineering ki salari uske kaam par depend karti hai. Uski job par depend karti hai. kuch Example niche dekh sakte hai.
Mechanical Engineer Salary = Lagbhag 4 lakh Per Year
Civil Engineer Salary In India = Lagbhag 3-4 lakh Per Year
Computer Engineer Salary = Computer Engineer ki salari uske Experience ke uper jyada depend karti hai. Jaise ki naye computer engineer ko lagbhag 25000 se 30000 rupay tk ek month ke milege or agar jaise jaise uska experience badh jata hai. To uske hissab se hi uski salari bhi badhti rahegi. Kuch computer engineer ki salari 1 lakh ek month tk hoti hai.
Electrical Engineer Salary In India = Lagbhag 3-4 lakh Per Year
Software engineer salary in india = Lagbhag 5-15 Lakh Per Year
Aaj Humne aapko is post Me Ek bahut hi badiya Aur importent Jankari Batai hai. Aaj Humne aapko is post Me bataya ki Engineer kya hota hai, Engineer Kaise Ban sakte hai, Engineer banne ke liye kaun si padhai karni padti hai.Or Engineer diploma kitne saal ka hota hai yeh Sabhi Jankari Humne aapko is post Me Puri Tarah Se aur vistar se Batai Hai.Yadi aapko yah Jankari Pasand Aaye To Share karna na Bhule or yadi aapka Iske baare me koi Sawal Ya sujhav ho toh Neeche comment box Me comment Karke Hum Se pooch sakte hai.
sir mera name payal he or me 12th ke bad engineer krna chahti hu koi problam to ni he
Thanks for your help .
But I want to ask IIT ki taiyari Kaise kare aur Isme selection Kaise hata hai ?
sir me 10th ke bad diploma in biomedical engineer field me jana chahta hu to es field se aage jane ke bad me kya ban sakte hu kesi job mil sakti he?
Sir! Main Civil Engineering Banana chahta hun, 10th ke baad sahi rahega ya 12
Sir thank you for help me robotic engneer banana chahata hu 10th ke bad kya karon
Thanks For Sharing The Amazing content. I Will also share with my friends. Great Content thanks a lot.